• Recent

    चैतन्य सुमिरन और 21 दिन मौन- ओशो जागरण


    CHAITANYA SUMIRAN & 21 DAYS MAUN" Param Pyare Osho,Pyare Sadguru Trivir ke Pyare Shree-Charan-Kamlo me Ahobhaavmay
    Premnaman "

    .Chaitanya Sumiran ke 6 din me aapne hame sikhaya ki kaise hum swaans-swaans 24 ghante
    Bhagwatta ke Sumiran me ji sakte hai. Aur baad ke 15 din hamne khoob-khoob usko jiya,
    Ab har samay uska ehsaas bana rahta hai.aur yah bhi prateet ho raha hai, ki vah bhi
    hamara kitna khyaal rakh raha hai.Govind tatasth nahi hai, Vah poorna chaitanya hai.
    Aascharya!!! ab tak ek kshan bhi uske sumiran ke bagair hum ji kaise rahe the ?
    'Abhi aur Yahi' jeene ke naam par hum ya Past me ya Future me hi jee rahe the, Present
    me jeena nahi ho raha tha.
    Par Aap Pyaro ne 'Here and Now' ka asli rahasya bhi bata diya, 'Here and Now' ko feel
    kara diya.Aur ab Sahaj hi vartmaan me jeena ho raha hai.


    Aha!!! yah Jagat kitne apoorva anand se bhara hua hai, Ab chhote se chhota kratya bhi
    divyata se bhara pratit ho raha hai.
    Nidra me Sumiran nahi ho pata tha. Par Aapne Yogiyo,Santo ki nidra kaisi hoti hai ?
    uski bhi kala hame sikha di. Ab nidra bhi Govind ke Sumiran ke saath ghat rahi hai.
    Aap Pyaro ne hame Santo ki tarah kshan-kshan Bhagvatta me jina sikha diya.
    Aur ab hum uske Sumiran ke saath Aanand aur masti me jivan ji rahe hai.
    Hum sabhi mitro ne Maun me khoob enjoy kiya.
    Ahobhaavmay Premnaman ...